Q in LiFe
Chalne laga hun apni manzil ki raah par ..
Par na jane kyun ab paun thakne lage hain..
Sochta hun thodi der ruk jaun..
Par kya ye samay mere liye rukega?
Dar lagta hai ki kaheen gir na jaun
Par girne par kya koi mjhe sambhalega?
Bohut baar sochta hun ki wapas mud jaun
Par wapas jaane se kya sab kuch pehle jesa ho jayega?
Ek baar socha ki zindagi ko fast forward kar dun
Par ismei rewind ka button toh hai hi nahi!!
Sirf play ka button hai
Apne iss chalte huye safar mei mein zarur bohut logon se milunga
Woh mjhse zarur kuch kahenge..
Toh kya mei unki baaton mei aajaun?
Kya mein unn par vishwas kar lun?
Jis duniya mei koi apna kisi apne pe vishwas nahi karta..
uss duniya mei kisi anjaan per vishwas karna thik hoga?
Mjhe iss raah mei ek pyaar karne wala bhi milega
Kya woh mjhse utna hi pyaar karega jitna mei karta hun?
Kya woh humesha mera saath dega?
Kya woh mera iss safar saathi banega?
Phir kya hoga agar mein apni manzil se bhatak gya?
Dar lagta hai ki kaheen wo mera hath na chodh de...
Agar essa hua toh mei kese jiyunga?
Kaheen suna tha ki jo pyaar karta hai wahi darta hai..
Kya mei usse pyaar karun joh mjhse pyaar kare?
...Ya mei usse pyaar karun jisko mei chahta hun?
Mjhe abhi bohut kuch seekhna hai..
Logon ne kaha,, ki uppar uthne ke lye dusre ko girana padta hai..
Bachpan se hi hath mei talvaar pakdakar ek dusre ka gala katne ko kyun kehte hain?
"Aage badna hai toh dusre ko neeche dira do"
~~ Akhir ye hi kyun? ..hum ek saath bhi toh uth sakte hain na..
'Nafrat'~ akhir kya yahi iski shuruwat hai?
Fir ye sab duniya wale aatankwaad par itna rote kyun hain??
Mein bhagwan mei nahi manta..
Mein 'achai' mei manta hun..
Mein 'insaaniyat' mein manta hun..
Log mjhe bura insaan kehte hain..
Kya ye sach hai?
kya mein sach mei bura insaan hun?
"Agar tum kisi ke saath bura nahi karoge,
toh tumhare saath kabhi bura nahi hoga"
\Par agar kuch bura ho raha hai
Toh agar kcuh bura ho raha hai..
Toh kya mei chup-chap dekhta rahun?
Sochta hun 'chodh yaar mjhe kya?'
Par kal agar mere saath essa ho toh?
Kya jo agla kadam mein uthaunga woh sahi hai ya nahi?
..ye sawal Kya mjhe har baar khudse karna chaiye?
Kehte hain.." Gussa insaan ka sabse bada dushman hota hai"
~~kaheen mei gusse mei jo mjhse bohut pyaar karta hai usse toh nahi bhul raha?
Kaheen mei uski parvah ko galat toh nahi samjh raha?
Kaheen mene kisi ka dill toh nahi todh dia?
Soch raha hun itni gehrai se ...
.....toh mere Maa-Baap jinhone mjhe sabse zada pyaar kia..
Kya mei unhe kabhi utna pyaar de paunga?
Phir utha hun mei chalne ke liye..
Apne har sawaal ka jawab dhundne ke liye..
Shayad har sawaal pe haan mille..
Shayad na..
Par har sawaal pe kuch khojne ke liye..
Chal pada hun apni manzil ke safar par...
Writer's Point
Full View